One low key afternoon, as I was watching the Rabrindranath Tagore series on Netflix, the sudden urge to write blasted through my pen. Inspiration was finally flowing and this is what came out of it...
Sirf Mere Paas
Main nahi jaanti
Ke aap ho kahaan,
Meri aankhen,
Aap hi ko dhoondhti rehti hai
Sara jahaan
Par aap to kahi nahi hain,
Bas sirf mere paas
Aap ki surilli awaaz,
Goonjhti rehti hai meri kaano mein,
Gunguna rehti hai,
Par aap to kahi nahi hain,
Bas sirf mere paas
Mein saansein leti hoon,
Toh aapke khushboo,
Ek nasha ki tarha madhosh kar dehti hai
Par aap to kahi nahi hain,
Bas sirf mere paas
Baarish ki har boondh
Choo kar gili kar deti hai,
Woh humein mehsus karah thi hai,
Ke woh bhi aap hi ki tarha
Meri har thakleefo ko mita thi hai
Par aap to kahi nahi hain,
Bas sirf mere paas
Zindagi ne akheli chalna sikhayi hai,
Par aap ki hoothon ne,
Meri ruh ko ussey bhi mithaas banayi hai
Par aap to kahi nahi hain,
Bas sirf mere paas
Jaane Anjaane mein,
Ye sab aap kar behthe,
Shayad, main abhi bhi nahi jaanti
ke aap ho kahaan
Bas sirf ussi pal ki intezaar hai
ke kab
Aap aur kahin nahin honge,
Bas sirf mere paas….
No comments:
Post a Comment